LUT GAYE LYRICS | EMRAAN HASHMI, YUKTI | JUBIN NAUTIYAL | TANISHK BAGCHI | MANOJ MANTUSHIR | BHUSHAN KUMAR |

 

Lut Gaye - Jubin Nautiyal Lyrics

Singer Jubin Nautiyal
Music Tanishk Bagchi
Song Writer Manoj Muntashir

Maine jab dekha tha tumko
Raat bhi woh yaad hai mujhko
Taare ginnte ginnte so gaya
Dil mera dhadka tha kass ke
Kuchh kaha tha toone hass ke
Main usi pal tera ho gaya

Aasmanon par jo khuda hai
Uss se meri yahi dua hai

Chaand yeh har roz main dekhun
Tere sath mein
Aankh uthi mohobbat ne angdaai li
Dil ka sauda hua chandni raat mein
Ho teri nazron ne kuch aisa jadoo kiya
Lut gaye hum to pehli mulakat mein
Ho aankh uthi

Paon rakhna na zameen par
Jaan rukk jaa tu ghadi bhar
Thode taare to bichha doon
Main tere vaste

Aazmaa le mujhko yaara
Tu zara sa kar ishara
Dil jala ke jagmaga doon
Main tere vaste

Mere jaisa ishq mein pagal
Phir mile ya naa mile kal
Sochna kya hath ye dede
Mere hath mein

Aankh uthi mohobbat ne angdaai li
Dil ka sauda hua chandni raat mein
Ho teri nazron ne kuch aisa jadoo kiya
Lut gaye hum to pehli mulakat mein
Ho aankh uthi

Haan kisse mohobbat ke
Hain jo kitabo mein
Sab chaahta hoon main
Sang tere dohraana

Kitna zaroori hai
Ab meri khatir tu
Mushkil hai mushkil hai
Lafzon mein keh paana

Ab to yeh aalam hai
Tu jaan maange to
Main shauk se de doon
Saugaat mein

Aankh uthi mohobbat ne angdaai li
Dil ka sauda hua chandni raat mein
Ho teri nazron ne kuch aisa jadoo kiya
Lut gaye hum to pehli mulakat mein
Ho aankh uthi

Lut gaye hum to teri mohobbat mein



Post a Comment

0 Comments